Ramayan
Ramayan ek Dwapar ki satya ghatna hai jo ki bahut nirmal bhav se bhagwan Vishnu ji ne dharti ke uddhar ke liye dharti par manav ka avtar lekar dharti ka uddhar kiya…
Bhagwan Vishnu ji ne Dashrath ji ke yaha putra ban kar ravan ka vadh kiya aur dharti ka uddhar kiya.
Hello friends aaj mai aapko Ramayan ek aise prasang ka varnan karunga jo aapne kabhi na kabhi suna hoga parantu us par gaur nahi kiya hoga.
· Kya aap jante hai ki Shri Ram ji koi bahan bhi thi ?
· Kya aapne socha hai ki vishnu ji ne ram ji ka avtar kyo liya ?
· Kya aap ye janate hai site ji lanka nahi gayi thi balki unki ek parchhai ravan ke sath gayi thi ?
· Kya aap ye jante hai ki ravan ko ye malum tha ki ram Vishnu ji ke avtar hai fir bhi yudh ladne gaya kyo ?
· Kya aap jante hai ki ye poori ramayan kis liye hui thi ?
to dosto mai aaj aapko is post me in sabhi savalo ke javab dunga jo ki bahut hi mahatva prna hai…
Prashn 1 – Shri Ram ji ki ek bahan bhi thi jinka naam shanta tha. Shanta ram ji se hi badi thi. Shanta Raja Dashrath aur kaushalya ki beti thi jinhe varshini aur unke pati rompad ne god liya tha. Shanta rishi shrung ki patni thi.
Prashn 2 – Bhagwan Vishnu ji dharti par hote atyadhik atychaar ko rokne aur atyachaariyo yaani Ravan aur Kumbhkarn ka vadh karne ke liye bahgwann Vishnu ji ne Maryada Purushottam shri ram ji ka avtar liya.
Prashn 3 – Pabhu shri Ram ji ne vanvash ke duran yah jan liya tha ravan sita ji ko lene aayega kyoki yah poori lila to prabhu ki hi thi isiliye unhone sita ko koi aani na ahuche isliye prabhu shri ram ji ne mata sita ji ko agni dev ke sanarachhan me rakha tha aur ravan jis bal ke sath sita ji ko le gaya tha vo asli sita ji nahi thi balki unk ek matra parchai thi.
Prashn 4 – sita ji ko le jaane ke baad ramayan ka mukhya shirsh shuru hota hai, ravan ko yah malum ho jata hai ki ram bhagwan Vishnu ji ke avatar hai lekin vah fir bhi prabhu shri ram ji se yudh bhoomi me ladne ke liye jaata hai..
Ravan ka kahna yah tha ki maine mujhe ahankar hai apni is mayavi shaktiyo ka aur mujhe in shaktiyo ka ahankar kyo naa ho maine itani tapasya se in shaktiyo ko arjit kiya hai, mujhe ye shaktiya mer tapasya se mili hai naki koi dan me jo mai iska ahankar na karu…
Aur isliye ravan bhagwan Vishnu ke avtar prabhu shri ram ji se ladne ke liye yudh bhoomi me chala gaya aur prabhu shri ram ji ke haatho mara gaya.
Prashn 5 – Poori Ramayan agar aapne padhi ya suni hogi to aapko itana to malum hi ho gaya hoga ki yah poori ramayan satya par vijay. Aur manav jaati ke liye ek udharan ke taur par hui prabhu ki ek lila hai jise apna kar manav apna udhar kar sake.
Aur yah poor ramayan hamare hindu dharm ke liye bahut hi uchit aur ek uttirn udharan hai.
Aap Ramayan ke Uttar Ramayan ke Part Ram ji ke putro ke adhaar par diya gaya hai
Uttar ramayan me prabhu shri ram ji ke putro ki kaushal aur parakram ko batayaa hai …
Uttar ramayan me Prabhu shri ram ji ke putra lav aur kush ne ashva megh yagya ke ghode ko pakad kar ghode par likhi chunauti ko swikar kiya aur Prabhi shri ram aur unki sena sahit unke bhaiyo ko bhi parast kar diya aur antatah apni vijaya prapt kar ve dono bhai is poori ghatana ko apni mata ko batate hai.
Mata ne unhe khoob data fatkar lagai ki ve sabhi aap don ke parivar jan hai aur aap dono ne hi unka uphas kiya aap dono ne unke sath yudh kya ye aapne bahut galat kiya hai aap dono apni is galati ki mafi ati shighra hi prabhu shri ram ji yani apne pita ji se mange.
Ve dono putra achambhit rah gaye ki jinse unhone yudh kiya ve unke hi parivar jan the aur prabhu shri ram jo ki hamare pita hai unse hamne yudh kiya. Hamse bahut badi galti ho gayi.
Aur ve dono prabhu shri ram ji ne mafi mang kar apni pita putra ke prem ko swikar kiya aur achche se rahne lage…
To dosto aapko ramayan ka yah prasang kaisa laga…
Agar aapk ye prasang achha laga ho to is post jyada se jyada share kare kyoki aaj is sansar me gyan ki bahut kami hoti jaa rahi hai log apne dharm ke prati koi jimmedari nahi samajhte hai unhe kam se kam vedo aur purano jais ramayan, mahabharat aadi ka gyan ho jaye to sansar ka samast prani apni jivan ka such bhog sakte hai….