Ramayan
aap sabhi ko Ramayan ke baare me to malum hi hoga ki Ramayan kya hai ?
kab
ki ghatna hai Ramayan ?
Ramayan ek dwapar yug ki satya katha hai jo ki manav jagat ke liye bahut hi mahatvapurna bhumika adaa karti hai.
Ramayan ke mukhya patra Shri Ram Chandra ji hai. Jo ki Vishnu ji ka avtar hai, ye to aap sabhi ko pata hi hoga.
Ramayan Dwapar ki ek satya ghtna par aadharit hai. Aaj mai aapko is post me Shri Ram ji se judi hare k bat is post me ullekhit karunga…
Ek samay ki baat hai ki prithvi par anuchit hi atyachar badhta jaa raha tha jo ki sahi nahi tha to sabhi devtagan ne yah nischay kiya ki bhagwan Vishnu ji dharati par jakar sabhi jivo ki raksha kare aur sabhi manav jati ko kuch updesh dein.
Prabhu shri Ram ka janm kaha hua tha ?
Tabhi us samay Prithvi ke mahan chakravarti raja Dashrath ji ne apne vansh ke unnati ke liye apne putra ki prapti ke liye havan aur bahut se yagya karvaye jo ki safal huye.
Tabhi bhgwan Vishnu ji ne dharti par Aydhya rajya ke Mahan Raja Dashrath ji ke ghar par chhote se balak ke roop me kaushalya mata ke putra banakar janm liye aur kaikeyi k ek putra aur sumitra maa ki kokh se do putro ne janm liya.
Un sabhi putro ka namkaran karne kul ke guru muni vashisth aaye the unhone mata kaushalya ke putra ka naam Ram ghoshit kiya aur Kaikeyi ke putra ko bharat naam diya aur Sumitra ke putro ko lakshman aur shatrughn naam diya…
Chaaro bahi me aaps me atoot prem tha ve chaaro balak ka yagyopavit sanskar hua jinhe ab ki bhasha me barua bhi kahte hai yagyopavit sanskar ke bad ve chaaro bhai apne guru ki shiksha ke liye guru kul me gaye vaha se shiksha prapt kar ke kai varsho baad aydhya vapas aaye. Aur jab apne ghar aaye to unka bahut hi adar aur satkar apni mataao dwara prapt kiya. Tabhi ek muni aaye jinka naam vishwamitra tha unhone dharti par ho rahe atyachar par ullekh kiya jisase prabhavit hokar maharaj ne ram ji aur lakshman ji ko vishwamitra muni ji ke sath van me bhej diya van me rahte rahte tadika sur ka ant kiya aur pathar ki ahilya ka udhdhar kiya. Aur usi samay mithila ke raja janak apni putri sita ka vivah swayamvar ke anusar ayojit kar rahe the jiska amantran vishwamitra muni ko bhi diya gaya tha, us aayojan me maharaj dashrath ke putr shri ram aur lakshman ji bhi gaye aur vaha sabhi ko naman kiya hai aur sabk aadar kiya.
Vaha sabhi desh ke mahan se mahan raja aur veer se veer raja vaha padhare the aur apne parakram ko dikhana chahte the tab sabhi ko dekhte huye maharaj janak ji ne yah ghoshna ki ki job hi bhagwan shiv ke is dhanush ko apni veerta se utha lega usi veer purush se se mai apni putri ka vivah karunga.
Tab ek ek karke sabhi desh ke raja apni veerta ka pradarshan karne e liye aage badhe lekin sabhi nakamyab rahe tabhi maharaj janak krodhit huye ki koi bhi veer purush is dhanush ko hila tak nahi paya, kia is sabha me koi bhi purush nahi jo is dhanush ko utha sake….
Jab janak ji krodhit huye tab lakshman jji ne kya kiya ?
Tabhi lakshman ji uthkar bole ki aap ko yah kahne ka adhikar nahi hai ki yaha par koi bhi veer purush nai yaha par abhi bhi ek veer purush hai.
Tabhi maharaj janak ne pucha ki kaun hai vah veer purush ?
Tabhi lakshman ji bole mere jyesth bhrata shri ram Chandra ji..
Kisne toda Shankar ji dhanush ?
Tab shri ram Chandra ji apne guruvar se agya lete huye dhanush ki aor badhte hai tab sabhi desh ke raaj un par haste huye kahte hai ki ye najuk sa vyakti kya dhanush utha payega. Tab shri ram ji ne apne parakram se se dhanush ko uthaya hi nahi balki us dhanush ko tod bhi diya.
Dhanush tootne ki avaj se dev parshuram ji ko krodh aa gaya aur ve mithila ayojan sthal par apni man ki gati se vaha pahuch gaye. Aur yah kahne lage ki vah kaun hai jo mahadev ke dhanush ko todne ki mansha rakhta hai.
Kisne toda hai mahadev ka dhanush ?
Tab ram ji ne kaha ki he munivar maine hi ye dhanush ko toda hai. Tab shri ram ji ne apne Vishnu swaroop ko apni antaraatma se darshan kara diya jisase dev parshuram ka krodh shant ho gaya aur unhone ram ji ko pranam kiya aur vaha se chale gaye.
Tab janak ji ne yah nirnay liya ki ve apni sabhi putriyo ka vivah maharaj dashrath ke chaaro putro se kara denge.
Tabhi unhone maharaj dashrath ji ko vivah ke aayojan se sandesh bheja ki ve barat ka aayojan karke shighra hi mithila aaye.
Tab maharaj dashrath ji apni aayodhya vasi sahit kai baarati mithila ki aor pasthan kar diye.
Vaha fir dashrath ji ke chaaro putro ka vivah sampan karake aydhya vapas aagaye.
Tab maharaj ne kuch din bitne ke pashchat yah nishchay kiya ki ab ayodhya ka samrajya apne jyestha putra ko shaup du…
Yah sunte hi manthra jo ki maharani kaikeyi ki dasi thi usne socha ki agar ram ayodhya ka raja ban jayega to bharat samrajya ke such se vanchit ho jayega. Tab usne maharani kaikeyi ko bhadkan suru kar diya ki bharat ko samrajya dilane ke liye kuch karo anytha bharat ayodhya ke samrajya ke such se vanchit rah jayega…
Tab maharani kaikeyi ne kaha ki manthra mai kya karu tu hi bata…
Tab manthra ne kaha kit um is baat par ad jao ki kai mere bharat ko ayodhya ka samrajya de diya jaye aur ram ko 14 varsh ka van vas de diya jaye…
Tab is karan se maharaj dashrath bade hi sanshay me the aur apni pida ko kisi ke sath sajha nahi kar sakte the. Lekin ve apne kasht ko kisi ko batana bhi nahi chahte the. Lekin vo bhi na chahe huye bhi unhe ram ji ko unhe van bhejna pada. Tab ram ji ne apne pita ke is aadesh ko swikar kiya aur van ki aor prasthan karne hi vale the ki mata sita aur lakshman ji bhi van jane ki iksha ram ji ke sath karne lage aur ram jji ne unhe mana kiya parantu ram ji ne bahut mana kiya lekin ve dono nahhi mane ve bhi ram ji ke sath van chale gaye.
Us samay bharat aur shatrughn apne mama yani nanihal gaye huye the unhe ram ji ke van jane ki khabar nahi malum thi.
Ram ji dheere dheere van ki aor aage badhne lage kuch door jaane ke bad ayodhya ki seema ke bahar unke mitra nishadh raj ka ilaka tha aur ve apne mitra ka bada aadar karte the unhone ram ji ko apne rajya me thahrne ke liye hi kaha lekin ram ji van ki aor badhte gaye aur sarayu nadi ke kinare pahuchne ke baad kewat ne unke paw pakharne ke baad unhe apni nav me baithay aur nadi paar karayi.
Nadi paar karne ke baad ram ji sita aur lakshman ji ke sath ek munivar ke ashram pahuche vaha unse ashirvad liya aur kuch derv aha thahrne ke baad vaha se chitrakut ke van ki aor prashan karne lage.
Ve teeno hi bade sangharsh ke sath hi chitrakut ke van ki aor badhte gaye aur jab chitrakut ke van pahuche tab vaha kuch muniyo ke ashram se kuch dur apni kutiya bana kar rahne lage.
Kuch din bitne ke pashchat jab maharaj dashrath ji ne apne putra ke viyog me apne pran tyag kar diye.
Kya hua ? jab bharat ko malum hua ki Ram ji ko vanvas hau hai.
Jab yah soochna kaikeyi ke putra bahrat ji ko malum padi to ve shighra hi ayodhya ke liye prasthan kar diye aur ayodhya aane ke baad ye sab janane ke baad ve apni mata se bade hi krodhit hote hai aur jyesth bhrata shri ram ji ko van me dhodhne ke liye sena ko aadesh dete hai.
Aur jab unhe yah malum padta hai ki unke bhaiya shri ram, bahbhi sita aur chote bhai lakshman chitrakoot parvat par hai tab ve chitrakoot ke van aor shighra hi apni sena ke sath chadhai kar dete hai.
Jab bharat aur unki sena chitrakoot par shri ram ji ko pate hai tab ve sabhi shri ram ji ko ayodhya vapas aan ka agrah karte hai lekin maryada purushottam ram ji ne apne pita ko diye huye vachan ko nibhaaya aur ve 14 varsh bina van me bitaaye ayodhya nahi jaane ka nirnay liye.
Is tarah se sabhi ayodhya vasi bhi ram ji ke in vachano se prabhavit the aur bharat sahit sabhi ayodhya vapas jaane lage.
Tab shri ram ji, sita ji aur lakshman ji sahit ab chitrakoot se kahi dusre jagah jaane ka nirnay liya aur ve teeno vaha se bhi chale gaye…
Dheere dheere kai varsh beet gaye aur aur ram ji jaha bhi kisi muniyo ke ashram jate hai vaha se unse aashirvad lete huye aage badhte hai.
Lakshman ji ne kyo kaati supurnakha ki nak ?
Ek din ki baat ram ji, mata sita aur chote bhaiya lakshman teeno apni kuitya me vishram kar rahe the aur tabhi ravan ki bahan supurnakha unki kutiya me aayi aur dekha ki ye do sukumar bade hi sundar hai. Aur supurnakha unse vivah karne ka nirnaya leti hai. Aur jaise hi unki kutiya me jakar ram ji aur lakshman ji ko ye prastav deti hai to ve dono bhai bade hi krodh me aa jate hai aur vah mata site ko khane ka ko kahti hai. Tab shri ram ji ke adesh par lakshman ji ne supurnakha ki nak ko kat diya.
Tab supurnakha ne is ghatna ko kuch jhoot bana kar apne bhaiyo ko bataya jisase uske bhaiyo ko bhi krodh aa gaya aur uske bhai ram ji aur lakshman ji se badla le ne ke liye van me chale gaye.
Aur dheere dheere unki sena aur fir baad me ve khud bhi shri ram ji ke haatho mare jate hai.
Tab supurnakha ne is saari ghatna ke baare me apne jyesth bhrata Lanka pati Ravan ko bataya ravan ke mantra bhi rakshas jati ke hi the ve sbhi ravan ko ram ji se yudh karne ke liye agrasar kar rahe the.
Tab ravan ye yojna banai ki mai ram ki patni sita ko apne mahlo me le aata hu to ram apne aap hi toot jayega.
Tab usne apne mama marich ki sahayata li aur apne chal se mata sita ko lanka le aaya jab vah mata sita ko lanka laa raha tha tab hi jatayu pakshi ne sita mata ko bachane ki bahut hi koshis ki lekin ve nakam rahe…
Mata sita ne apne kuch aabhushan raste me chinho ke lie gira diye taki un chinho ke anusar shri ram ji mata sita ji tak pahuch sake.
Shri ram ji aur lakshaman ji ne mata sita ko khoob dhudhne ki koshis ki lekin kahi bhi nahi mili.
Tab jatayu pakshi ka sharir jivit avastha me unhe prapt hua tab unhone jatayu se pucha tab unhone bataya ki ravan sita ji ko dakshin ki aor le gaya hai, is prakar ram ji aur laksman ji mata sita ki khoj me nikal gaye.
Sita mata ki khoj me unhe kai kathinaiyo ka samna karna pada tab mata shabari kutiya me jaane ke baad mata shabri ne unhe maharaj sugriv se mitrata karne ki salah di.
Tab sri ram ji aur lakshman ji sugriv ji khoj me badhta hai aur ek parvat ke baare me janane ki jigyasa karte hai.
Is ghatna ki khabar maharaj sugirv ko ata chalt aki do sukumar purush aaye hamare parvat ki aor aage badh rahe hai. Tab unhone apne mantra ko unka bhed janane ke kisi duse bhes me unka bhed janane ke liye ram ji ke pas bheja.
Tab hanuman ji ne unse unka poora bhed janane ke baad unse aashirvaad liya aur unhe apne kandhe par baitha kar apne maharaj ke paas le gaye.
Ram ji ne Sugriv se mitrata kyo ki ?
Tab shri ram ji ne maharaj sugriv se mitrata ka r maharaj ke kashto ka bhi nivaran kar diya matalab ki unke bhai bali ne unhe apne samrajya se bahar nikal diya tha isliye ve apne bhai se shri ram ji ki sahayat se bada liya.
Tab maharaj sugriv ne bhi mata sita ki khoj karne ka vada shri ram ji se kiya aur apni vanar sena ko mata ki khoja ke liye chaar dishao me bhej diya tab unhe mata sita ko dakshin ki disha ravan ki lanka me paaya.
Tab yah bat ko spasht karne ke liye hanuman ji lanka ki aor prasthan kar diye aur vaha pahuchne ke baad ve mata sita ko dhoodh kar unhe shri ram ji ke dwara di gayi angoothi mata sita ji ko di jisase unhe spasht ho gaya ki hanuman prabhu shri ram ji ke doot hai.
Aur hanuman ji ko ravan ki sena ne dekh liya aur hanuman ko bandi bnakar unki puch me aag laga di aur hanuman ji ne apni puch m lagi aag se ravan ki hi lanka ko aag laga di aur apni puch ko paani se thanda kar liya aur vapas aagaye.tab shri ram ji ne sita ji ko vapas le aane ke liye lanka par chadhai kar di.
Chadhai karne ke baad shri ram ji ki vanari sena ne ravan ke sabhi sena aur unke sabhi veer sanik aur unke kuch putro ko bhi mritu ke ghat utar diya.
Maharaj ravan ka putra indrajeet(meghnath) ne yidh me kadam rakha aur lakshman ji ko murchit kar diya. Jisase pareshan hokar ram ji ne lanka se shushian vadya ko bulvaya aur unse iska upchar pucha tab unhone iska upchar himalay parvat par lagi sanjivani booti ko bataya tab hanuman ji ne himalay se sanjivani buuti ko le aaye aur fir lakshman ji ne meghnath se yudh kiya aur meghnath ko mritu ke ghat utar diya.
Ravan ko iska bahut dukh tha lekin vah fir bhi ram ji se yudh karne ke liye ranbhoomi me prasthan kar diya.
Tab vibhishan jo ki ravan ka bhai hai lekin vah dharmik vyakti tha aur vah shri ram ki puja karta tha isliye use ravan ne apne rajya se bahar kar diya.
Tab vibhishan ki madad se shri ram ji ne ravan ko uski nabhi me sthit amrit me agni ban chala diya jisase ravan ki mrityu ho gayi.
Aur shri ram ji mata sita ko lekar ayodhya vapas agaye.
Ayodhya vapas aane ke baad prabhu shri ram ji ko aydhya ka raja banaya gaya.
Tab vaha ki praja mata sita par bure bure dosh lagane lagi jisase mata sita ayodhya tyag kar vano me jakar muni valmiki ji key aha rahne lagi.
Aur vaha unhe do putra lav aur kush ne janm liya ve apne pita ram ji ki tarah bade hi dheer aur veer the.
Ek bar ki baat hai jab shri ram ne ek baar ashvamegh yagya karva jiska ghoda poore bharat me vicharan ke liye choda gaya tha aur uspar likhvaya gaya tha ki jo bhi is ghode ko pakdega use hamse yudh karna hoga aur ghoda poore bharat me vicharan karn ke paschat jab vapas aane laga tab ghode ko lav aur kush ne pakad liya aur tab tak nahi choda jab tak ki maharaj shri ram ji nahi unke samaksh nahi aa jate unhone sabhi veer yodha bharat, lakshman, shatrughn jaise aadi veer purusho ko apne aadhin kar liye.
Jab shri ram ji unke samksha aaye tab unhone apne ghode ko vapas manga tab unhone jid ki tabhi lav aur kush ke guru valmiki ji vaha aagaye aur unhe samjhaya tab lav aur kush ne ghode ko vapas de diya.
Aur yah poori ghatna lav kush ne apni mata sita ko batai tab maata sita ji ne unse koi bhi baat na chipane ka nirnay liya.
Aur lav aur kush ko bataya ki jinse tumne itna yudh kya ve tumhare hi sage sambandhi hai taumhare hi parivar jan ke sadasya hai.
Aur jinse tumne itni vachalta ki hai ve tumhare pita hai.
Aur tumhi ne unse itni vachalta ki hai. Tumhe shhighra hi unse chhama mangni chahiye.
Tab lav aur kush dono bhai valmiki risi aur mata sita ki agya se ayodhya ko jate hai aur maharaja ram ji ke mahal me jakar maharaj se chhama mangte hai aur unse apne guru valmiki muni dwara rachit ramayan ko ayodhya ki praja sahit aapko sunane ka agrah karte hai…
Tab prabhu shri ram ji ne unhe ramayan sunane ki agya de di.
Aur lav aur kush dono bhai samast ayodhya nagari ke samne aur guru vashistha aur sabhi parivarjano ke sath prabhu shri ram bhi ramayan ko sunte hai.
Sunane ke pashchat hi unhe malum chalta hai ki lav aur kush dono hi prabhu shri ram ke putra hai. Lekin praja ke karan ve un dono putro ko apnane se inkar kar dete hai.
Tab prabhu shri ram ji un chote chote balako se kahte hi ki aap dono mujhe iska vastvik parichay de de aur apne guru aur apni mata ko hamar samksha prastut kare jisase is baat ka nischay ho sake ki aap satya kah rahe hai.
Tab agli subah darbar lagi aur samast praja bhi vaha prastut thi tabhi mata sita aur muni valmiki jib hi mahal me prasthan kiye…
Mata sita ji ne sabhi un chote se balko ke kathan ko siddh kiya aur kaha ki ye dono aapke hi putra hai maharaj.
Mata sita in sabhi paristhitiyo se pareshan ho kar yah sapath lene lagti hai ki agar unki ye vani satya hai to prithvi maa mujhe apni god me sula lo.
Tab prithvi devi dharti ke andar se prastut hoti hai aur mata sita ji ko apni god me baiha kar apne sath dharti me samahit kar leti hai.
Uske paschat maharaj shri ram un chote chote balko ka lalan palan karte hai.
Aur jab ve balak aur any bhaiyo ke balak bhi bade ho jate hai tab unhe unke rajyo ko saup kar ve aram se apne mahlo me rahte hai.
Ek din ki baat hai jab ek din kaal apna bhesh bada kar aaya aur prabhu shri ram se milne ke liye lakshman ji kahne laga aur lakshman ji bhi unhe ram ji ke pass le gaye.
Kaal prabhu se baat karne ke liye ekant jagah talash rahe the aur maharaj se ye kahalvaya ki yaha par hamari batcheet koi na sune aur agar koi sunane ki koshis bhi kare to use pran dand de diya jaye…
Ram ji ne kaha thik hai yahi hoga. Aur ve baatcheet karne lage.
Tab usi samay ek muni var aaye aur bolne lage mujhe shighra hi ram ji se milna hai tab lakshman ji unhe bahut samjhane ki koshis bhi ki lekin ve munivar jid par ade rahe… aur kahne lage ki agar tum mujhe unse nahi milne doge to is samast dharti ka vinash kar dunga.
Tab ve bole nahi munivar aap aisa na kare mai abhi jata hu aur bhaiya se apke aane ka samachar deta hu…
Tab us samay kaal se prabhu ki bahut jaroori batcheet ho rahi thi tabhi lakshman ji vaha aagaye aur vah kaal turant vaha se chala gaya.
Tab prahu shri ram ji se lakshman ji ne yah ghatna batai ki ek munivar aaye hai, ve aapse milna chahte hai, tab prabhu shri ram ji ne unse kaha ki lakshman tumne ye kya kiya tum bina puche andar kyo aagye…
Tab sabhi ke mat se prabhu shri ram ji ne unhe desh nikala dene ki saja sunai kyoki desh nikala bhi pran dand den eke barabar hoti hai.
Lakshman ji ne fir deshnikal ko swikar kiya aur nadi me jakar pran tyag diye.
Lakshman ji ke jane ke bad prahu shri ram ji ne bhi sarayu nadi me apne pran bhi tyag diye.
to dosto aapko ye ramayan kaisi lagi ? aap apni ray comment me likhe.